Sunday, April 10, 2011

Maa-the real GOD.

Maa ek aisa shabd jise sunte he ek pyari c murat saamne aajati hai. maa hmare dukh me, hmare sukh me hamesha sarik rehti hai. ek maa k baare socho to baato c baatein dhyaan aati hai.
vo khud bhuke reh k bacche ko khilana,
vo khud gile me so k bacche ko sukhe me sukhe me sulana.
vo chot lgne pr daant te huye pyaar krna,
vo sote me ser pe haath ferna,
vo koi bhi musibat aane pr saath khade rehna,
vo apne aanchal se muh pouhna,
vo der se aane pr bhi khana liye bhete rehna,
vo apne ekktte kiye huye pese bhi ek baar maangne pr de dena,
vo maathe pe ek lakir dhakte he sb samaj jana,
vo phone pr bhi aawaj se he chehra padh lena,
vo hamesha hr sthiti me saath dena,
vo papa ki maar se bacha lena,
vo himmat haarne pr himaat dena,
khud pareshaan rehna or bacche ko jra bhi pareshaan na dekna,
vo apni mamta ka saagar hamesha udelte rehna,
or marte bakt bhi ek he khuwaahish rakhna ki mere bacche khus rahe, jahan bhi rahe fallte-fulte rahe.
or es sb k badle kuch bhi na chahna.
dosto maa ki seva kr lo vrna sivaay haath malne k kuch nhi reh jata. jb yaad aati hai na maa ki to aankho se aanshu or sarir se aisa lagta hai jese kuch alag ho rha hai.
i love my mom.

No comments:

Post a Comment