Friday, April 15, 2011

bollywood ka heman

agar kisi bhi actor ko bollywood k heman ya first action hero k roop me yaad kiya jaye to ek he naam hmare jehan me aata hai. 'Dharmendra'. dharmendre ji ka janm panjab me hua tha. unhono apni padhayi panjab k ek hindi medium school se start ki thi or acting me ruchi hone k kaaraad vo school me bhi acting kiya krte the. 1965 me dharmendra ji ne ek talent show me hissa liya or esme vo select ho gye. or unki hindi films ki gaadi chal nikli. unhono es mukaam tk pahuchne k liye kaffi mehnat ki thi. aaj unhe hindi film industry me 50 saal pure ho gye or en 50 saalo me unhono hr tarah ki films me kaam kiya. chahe vo action movie ho ya imostinal ya fir comedy. vo aaj bhi films me bakhubi kaam kr rhe hai ye hum 'apne' or 'yamla pagla deewana' films ki safalta se jaan skte hai. unhono kabhi bhi award k liye kaam nhi kiya bas jab bhi kaam kiya apna 100% diya. yehi ek main reason hai unki safalta ka.

1 comment:

  1. he is also one of my favorate actor of that time .
    he is like a greek god ... :)

    ReplyDelete