Wednesday, February 23, 2011

A big msunderstading.

Mai ek story btata hu. Ek ek baheliya(birds catcher) jungle me birds pakadne gya. Magar durbhaagyabas us din uvo ek bhi bird nhi pakad paaya. Vo pure din ghumta rha. Ghumte-2 jb dopher ho gyi to vo thak-haar k ek tree k nieche let gya or aaram krne lga. Us tree pe ek hanns bheita hua tha or us hanns ne dekha ki vo baheliya tree k patto me se aa rhi dhup ki kirno k kaarad so nhi pa rha hai to usne paropkaarbas apne pankh un dhup ki kirno k saamne feila diye or baheliya k muh pe aana band ho gyi. Tabi vahan se ek crow udta hua gujra or usne us baheliya ko aaram krte hue dekha or socha ki ye dust hume pakad k bech deta hai or yahan mast aaram kr rha hai or usne us baheliya k uppar vista kr di. Baheliya ki jb aankh khuli to usne dekha ki uske uppar ek hanns bhieta hai or usne socha ki vista esi hanns ne ki hai or usne krodh me aaker ek he teer me us hanns ka shikaar kr diya or hanns ne apne praan vahee tyaag diye.
Moral- help usi ki krni chaiye jo us help k kavil ho, vrna nuksaan tume he hoga.

No comments:

Post a Comment